Doston Se To Kinara Bhi Nahin Kar Sakta

doston se to kinara bhi nahin kar sakta

un ka har zulm gawara bhi nahin kar sakta

mera dushman mere apnon mein chhupa baiTha hai

us ki jaanib main ishaara bhi nahin kar sakta

shab mein niklega nahin us pe musallat hai nizam

din mein suraj ka nazara bhi nahin kar sakta

aish-o-ishrat ka talabgar nahin hun phir bhi

tang-dasti mein guzara bhi nahin kar sakta

shauq aisa ki machalta hai mohabbat ke liye

jurm aisa ki dobara bhi nahin kar sakta

gham hai betab ki aankhon se nikal jae magar

dil ki daulat ka KHasara bhi nahin kar sakta

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Doston Se To Kinara Bhi Nahin Kar Sakta In English By Famous Poet Hidayatullah Khan Shamsi. Doston Se To Kinara Bhi Nahin Kar Sakta is written by Hidayatullah Khan Shamsi. Read famous Poem Doston Se To Kinara Bhi Nahin Kar Sakta for youth and Student by Hidayatullah Khan Shamsi. Free Download Doston Se To Kinara Bhi Nahin Kar Sakta in PDF.