Phir Andheri Rah Mein Koi Diya Mil Jaega

phir andheri rah mein koi diya mil jaega

tum akele ghar se niklo qafila mil jaega

tang-zarfi KHushk kar Dalegi dariya dekh le

hum ko kya koi samundar dusra mil jaega

kar raha hun main taaqub gardish-e-ayyam ka

ek na ek din zindagi tera pata mil jaega

aandhiyo aa jao khul kar main charagh-e-tur hun

mujh se Takrane ka tum ko bhi maza mil jaega

tang mat kar ai zamin kar den ishaara ek agar

aasmanon se bhi hum ko aasra mil jaega

sang-e-furqat mar kar mat jao mujh ko chhoD kar

dil ka shisha toDne se yar kya mil jaega

sahilon par rahne walo ek zara aawaz do

gharq hoti kashtiyon ko hausla mil jaega

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Andheri Rah Mein Koi Diya Mil Jaega In English By Famous Poet Hidayatullah Khan Shamsi. Phir Andheri Rah Mein Koi Diya Mil Jaega is written by Hidayatullah Khan Shamsi. Read famous Poem Phir Andheri Rah Mein Koi Diya Mil Jaega for youth and Student by Hidayatullah Khan Shamsi. Free Download Phir Andheri Rah Mein Koi Diya Mil Jaega in PDF.