Ras Aai Na Mujhe Anjuman-arai Bhi

ras aai na mujhe anjuman-arai bhi

aafat-e-jaan bani hae shanasai bhi

dushmanon ki mere auqat kahan thi itni

sazish-e-qatl mein shamil tha mera bhai bhi

aankh andhi thi zamane se yahan logon ki

mar gai zer-e-dahan quwwat-e-goyai bhi

tujh se nisbat ho koi sang-e-malamat ki agar

mujh ko pyari hai tere shahr mein ruswai bhi

kashti-e-zist jahan Dub rahi thi meri

mere apne the wahan log tamashai bhi

kar diya mujh ko masail ne abhi se buDha

waqt ne ruKH se mere chhin li ranai bhi

muflisi jin ke muqaddar mein likhi hai 'shamsi'

un ke ghar bajti nahin hai kabhi shahnai bhi

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ras Aai Na Mujhe Anjuman-arai Bhi In English By Famous Poet Hidayatullah Khan Shamsi. Ras Aai Na Mujhe Anjuman-arai Bhi is written by Hidayatullah Khan Shamsi. Read famous Poem Ras Aai Na Mujhe Anjuman-arai Bhi for youth and Student by Hidayatullah Khan Shamsi. Free Download Ras Aai Na Mujhe Anjuman-arai Bhi in PDF.