TaDap Ke Haal Sunaya To Aankh Bhar Aai

taDap ke haal sunaya to aankh bhar aai

jo us ne zaKHm dikhaya to aankh bhar aai

thi jis charagh se qaem meri umid-e-sahar

hawa ne us ko bujhaya to aankh bhar aai

zamane-bhar ka sitam sah ke muskuraata raha

fareb apnon se khaya to aankh bhar aai

hamare shahr ki galiyon mein qahr Dhate hue

lahu ka sail dar aaya to aankh bhar aai

saba ne aah KHizaon ke sath mil kar phir

gulon ka rang uDaya to aankh bhar aai

jabin-e-haal pe mazi ki talKH yaadon ne

sunahra naqsh banaya to aankh bhar aai

tamam umr to apnon ki Thokaron mein rahe

kisi ne sar pe biThaya to aankh bhar aai

bichhaDte waqt kisi ne jo pyar se 'shamsi'

machal ke hath hilaya to aankh bhar aai

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaDap Ke Haal Sunaya To Aankh Bhar Aai In English By Famous Poet Hidayatullah Khan Shamsi. TaDap Ke Haal Sunaya To Aankh Bhar Aai is written by Hidayatullah Khan Shamsi. Read famous Poem TaDap Ke Haal Sunaya To Aankh Bhar Aai for youth and Student by Hidayatullah Khan Shamsi. Free Download TaDap Ke Haal Sunaya To Aankh Bhar Aai in PDF.