Zindagi Se Mili Saughat Ye Tanhai Ki

zindagi se mili saughat ye tanhai ki

KHwab TuTe hain kai aankh mein sahrai ki

kyun sar-e-bazm meri us ne pazirai ki

us mein sazish to nahin phir se mere bhai ki

barq manzar se nigahon ki basarat chhine

fikr dushman ko mere hai meri binai ki

log chehre pe udasi ka sabab puchhenge

kya kahunga ki mujhe fikr hai ruswai ki

log bahar se samajhte hain bahut KHush hun main

kya KHabar un ko mere zaKHm ki gahrai ki

main bhi aaunga tujhe dene mubarakbaadi

jab bhi aawaz sununga teri shahnai ki

chhin kar munh se gharibon ke niwale 'shamsi'

hakim-e-waqt ne kya KHub masihai ki

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Se Mili Saughat Ye Tanhai Ki In English By Famous Poet Hidayatullah Khan Shamsi. Zindagi Se Mili Saughat Ye Tanhai Ki is written by Hidayatullah Khan Shamsi. Read famous Poem Zindagi Se Mili Saughat Ye Tanhai Ki for youth and Student by Hidayatullah Khan Shamsi. Free Download Zindagi Se Mili Saughat Ye Tanhai Ki in PDF.