Dusra Tajraba

kal shab ajib ada se tha ek husn mehrban

wo shabnami gulab si rangat dhuli dhuli

shanon pe be-qarar wo zulfen khuli khuli

har KHat-e-jism pairahan-e-chust se ayan

Thahre bhi gar nigah to Thahre kahan kahan

har zawiye mein husn ka ek taza bankpan

har daere mein khilte hue phul ki phaban

aankhon mein Dolte hue nashshe ki kaifiyat

ru-e-hasin pe ek shikasta si tamkanat

honTon pe an-kahi si tamanna ki larzishen

banhon mein lamha lamha simaTne ki kawishen

sine ke jazr-o-mad mein samundar sa iztirab

umDa hua sa jazba-e-bedar ka azab

KHushbu tawaf-e-qamat-e-zeba kiye hue

shisha badan ka azm-e-zuleKHa liye hue

phir yun hua ki chhiD gai yusuf ki dastan

phir main tha aur paki-e-daman ka imtihan

ek sanp bhi tha aadam o hawwa ke darmiyan

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dusra Tajraba In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Dusra Tajraba is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Dusra Tajraba for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Dusra Tajraba in PDF.