Haarun Ki Aawaz

dekho abhi hai wadi-e-kanan nigah mein

taza har ek naqsh-e-kaf-e-pa hai rah mein

yaqub be-basar sahi yusuf ki chah mein

lahra raha hai aaj bhi turra kulah mein

ye turra gir gaya to ulaT jaegi zamin

mahwar se apne aur bhi haT jaegi zamin

tariKH ke safar mein ghalat bhi qadam uThe

gahe libas-e-faqr mein ahl-e-hasham uThe

gahe sanam-tarash ba-nam-e-haram uThe

parde nigah ke bhi magar besh o kam uThe

yun bhi hua dahai ikai mein Dhal gai

KHurshid ke alao mein har shai pighal gai

jab yun na ho saka to ye tariKH hai gawah

uTThe asa-ba-dast ghulman-e-kaj-kulah

zer-e-zamin kushada hui zindagi ki rah

aur kuchh na kar saki kisi firaun ki sipah

har mauj-e-nil sanp si bal kha ke rah gai

ahram ki nigah bhi pathra ke rah gai

azdad ki ye jang usul-e-qadim hai

aur ab ki aadmi ki ikai do-nim hai

aflak ke tale sahi miTTi azim hai

haarun ki zaban bhi lauh-e-kalim hai

had se guzar na jaen kahin kam-tarin log

musa ke intizar mein hain be-zamin log

(1010) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haarun Ki Aawaz In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Haarun Ki Aawaz is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Haarun Ki Aawaz for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Haarun Ki Aawaz in PDF.