Jise Milen Wahi Tanha Dikhai Deta Hai

jise milen wahi tanha dikhai deta hai

hisar-e-zat mein simTa dikhai deta hai

kisi ke sar pe koi saeban nahin har shaKHs

KHud apni chhanw mein baiTha dikhai deta hai

wo daur-e-tesha-giri hai ki aadmi ka wajud

har ek samt se TuTa dikhai deta hai

saza-e-dar abhi tak hai ahl-e-haq ke liye

abhi salib pe isa dikhai deta hai

dhuan dhuan hai faza aatish-e-tassub se

nagar nagar mujhe jalta dikhai deta hai

ye kaifiyat hai junun ki ya dil ki virani

ki apna ghar mujhe sahra dikhai deta hai

bhaTak rahi hai kisi karbala mein 'soz' ki ruh

kuchh is tarah se wo pyasa dikhai deta hai

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jise Milen Wahi Tanha Dikhai Deta Hai In English By Famous Poet Hira Nand Soz. Jise Milen Wahi Tanha Dikhai Deta Hai is written by Hira Nand Soz. Read famous Poem Jise Milen Wahi Tanha Dikhai Deta Hai for youth and Student by Hira Nand Soz. Free Download Jise Milen Wahi Tanha Dikhai Deta Hai in PDF.