Hawa Ke Sath Ye Kaisa Moamla Hua Hai

hawa ke sath ye kaisa moamla hua hai

bujha chuki thi jise wo diya jala hua hai

huzur aap koi faisla karen to sahi

hain sar jhuke hue darbar bhi laga hua hai

khaDe hain samne kab se magar nahin paDhte

wo ek lafz jo diwar par likha hua hai

hai kis ka aks jo dekha hai aaine se alag

ye kaisa naqsh hai jo ruh par bana hua hai

ye kis ka KHwab hai tabir ke taaqub mein

ye kaisa ashk hai jo KHak mein mila hua hai

ye kis ki yaad ki barish mein bhigta hai badan

ye kaisa phul sar-e-shaKH-e-jaan khila hua hai

sitara TuTte dekha to Dar gai 'rahat'

KHabar na thi yahi taqdir mein likha hua hai

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ke Sath Ye Kaisa Moamla Hua Hai In English By Famous Poet Humaira Rahat. Hawa Ke Sath Ye Kaisa Moamla Hua Hai is written by Humaira Rahat. Read famous Poem Hawa Ke Sath Ye Kaisa Moamla Hua Hai for youth and Student by Humaira Rahat. Free Download Hawa Ke Sath Ye Kaisa Moamla Hua Hai in PDF.