Kahani Ko Mukammal Jo Kare Wo Bab UTha Lai

kahani ko mukammal jo kare wo bab uTha lai

main us ki aankh ke sahil se apne KHwab uTha lai

KHushi meri gawara thi na qismat ko na duniya ko

so main kuchh gham bara-e-KHatir-e-ahbab uTha lai

hamesha ki tarah sar ko jhukaya us ki KHwahish par

andhera KHud liya us ke liye mahtab uTha lai

sameTe us ke aansu apne aanchal mein to jaane kyun

mujhe aisa laga kuchh gauhar-e-nayab uTha lai

mayassar tha na koi KHwab in aankhon mein rakhne ko

so main in ke liye ashkon ka ek sailab uTha lai

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahani Ko Mukammal Jo Kare Wo Bab UTha Lai In English By Famous Poet Humaira Rahat. Kahani Ko Mukammal Jo Kare Wo Bab UTha Lai is written by Humaira Rahat. Read famous Poem Kahani Ko Mukammal Jo Kare Wo Bab UTha Lai for youth and Student by Humaira Rahat. Free Download Kahani Ko Mukammal Jo Kare Wo Bab UTha Lai in PDF.