Sab Mutmain The Subh Ka AKHbar Dekh Kar

sab mutmain the subh ka aKHbar dekh kar

KHaif the hum nawishta-e-diwar dekh kar

munsif gawah had hai ki mazlum bik gae

qimat lagi jo zarf-e-KHaridar dekh kar

main boriya-nashin gharib-ul-watan faqir

hairan tha shan-o-shaukat-e-darbar dekh kar

na-waqif-e-rusum-e-huzuri tha ki gaya

sab dam-ba-KHud the jurat-e-izhaar dekh kar

aisa nahin ki sab the haqaeq se na-balad

bas bolte the chashm-e-sharar-bar dekh kar

tark-e-tawahhumat ne be-faiz kar diya

bhaTke the hum bhi jubba-o-dastar dekh kar

koshish main karta rahta hun ghazlon mein apni 'taj'

baaten banaun chashm-o-ruKH-e-yar dekh kar

(855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Mutmain The Subh Ka AKHbar Dekh Kar In English By Famous Poet Husain Taj Rizvi. Sab Mutmain The Subh Ka AKHbar Dekh Kar is written by Husain Taj Rizvi. Read famous Poem Sab Mutmain The Subh Ka AKHbar Dekh Kar for youth and Student by Husain Taj Rizvi. Free Download Sab Mutmain The Subh Ka AKHbar Dekh Kar in PDF.