Subut-e-jurm Na Milne Ka Phir Bahana Kiya

subut-e-jurm na milne ka phir bahana kiya

ki adliya ne wahi faisla purana kiya

hawa ke apne masail hain aur charagh ke bhi

na wo ghalat na amal us ne mujrimana kiya

ye tum ne jang ka unwan hi badal Dala

alam sajaya na lashkar koi rawana kiya

hari bhari thin jo shaKHen wahi phalin phulin

usi shajar ko parindon ne aashiyana kiya

sawal main ne bhi rakkhe guzarishon ki tarah

badal ke us ne bhi andaz-e-dil-barana kiya

mere liye hi adawat ke dar bhi khole gae

mere hi nam mohabbat ka bhi KHazana kiya

hamesha wade hue taj ke hawale se

agarche taKHt ne wada kabhi wafa na kiya

(1179) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subut-e-jurm Na Milne Ka Phir Bahana Kiya In English By Famous Poet Husain Taj Rizvi. Subut-e-jurm Na Milne Ka Phir Bahana Kiya is written by Husain Taj Rizvi. Read famous Poem Subut-e-jurm Na Milne Ka Phir Bahana Kiya for youth and Student by Husain Taj Rizvi. Free Download Subut-e-jurm Na Milne Ka Phir Bahana Kiya in PDF.