Uljhanen Itni Thin Manzar Aur Pas-manzar Ke Bich

uljhanen itni thin manzar aur pas-manzar ke bich

rah gai sari masafat mil ke patthar ke bich

ruKH se ye parda haTa behosh kar mujh ko tabib

guftugu jitni bhi ho phir zaKHm aur nashtar ke bich

us ko kya malum ahwal-e-dil-e-shisha-garan

warna aa jata kabhi to hath aur patthar ke bich

shauq-e-sajda bandagi waraftagi aur be-KHudi

mo'tabar sab us ki chaukhaT aur mere sar ke bich

ek qayamat husn us ka aur wo bhi jalwa-gar

main faqat mabhut jadu aur jadugar ke bich

main bhi KHuddari ka mara tha safai kuchh na di

us ne bhi matlab nikale lafz aur tewar ke bich

waqt aur masrufiyat ke masale sab ek taraf

duriyan itni nahin thin 'taj' apne ghar ke bich

(1325) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uljhanen Itni Thin Manzar Aur Pas-manzar Ke Bich In English By Famous Poet Husain Taj Rizvi. Uljhanen Itni Thin Manzar Aur Pas-manzar Ke Bich is written by Husain Taj Rizvi. Read famous Poem Uljhanen Itni Thin Manzar Aur Pas-manzar Ke Bich for youth and Student by Husain Taj Rizvi. Free Download Uljhanen Itni Thin Manzar Aur Pas-manzar Ke Bich in PDF.