Labon Par Pyas Ho To Aas Ke Baadal Bhare Rakhiyo

labon par pyas ho to aas ke baadal bhare rakhiyo

sarabon ke safar mein is tarah gulshan hare rakhiyo

ye bazar-e-jahan hai be-gharaz koi nahin milta

parakh kar jab talak dekho nahin sab ko pare rakhiyo

wafa ke bol par be-mol bik jati hai ye duniya

agar ho be-sar-o-saman to ye sikke khare rakhiyo

kisi ke samne daman pasare se milega kya

agar insan ho KHuddariyon se ghar bhare rakhiyo

sharabon se bhare pyale mujhe takne ki aadat hai

badan bhiga rasile honT naina mad-bhare rakhiyo

na jaane kab kisi ke KHwab se ye dil dhaDak jae

agar sone lago to hath sine par dhare rakhiyo

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Labon Par Pyas Ho To Aas Ke Baadal Bhare Rakhiyo In English By Famous Poet Ibrahim Ashk. Labon Par Pyas Ho To Aas Ke Baadal Bhare Rakhiyo is written by Ibrahim Ashk. Read famous Poem Labon Par Pyas Ho To Aas Ke Baadal Bhare Rakhiyo for youth and Student by Ibrahim Ashk. Free Download Labon Par Pyas Ho To Aas Ke Baadal Bhare Rakhiyo in PDF.