Main Kab Rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas Tha

main kab rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas tha

sad-KHema-e-bahaar mere aas pas tha

toDa hai bar-ha mujhe dil ki shikast ne

chehra magar zara bhi na mera udas tha

sahra-e-jaan ki dhup mein thin wahshaten bahut

lekin na mera azm kahin bad-hawas tha

ye aur baat hai ki barhana thi zindagi

maujud phir bhi mere badan par libas tha

main ne har ek lamhe ko chaha hai TuT kar

tha zindagi-parast mohabbat-shanas tha

mausam kuchh aae aise bhi shahr-e-KHayal mein

mujh ko na jin ka ilm na koi qayas tha

fikr-e-suKHan hi 'ashk' hai zauq-e-amal mera

is ke siwa na kar-e-jahan koi ras tha

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kab Rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas Tha In English By Famous Poet Ibrahim Ashk. Main Kab Rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas Tha is written by Ibrahim Ashk. Read famous Poem Main Kab Rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas Tha for youth and Student by Ibrahim Ashk. Free Download Main Kab Rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas Tha in PDF.