Mishal-ba-kaf Kabhi To Kabhi Dil-ba-dast Tha

mishal-ba-kaf kabhi to kabhi dil-ba-dast tha

main sail-e-tirgi mein tajalli-parast tha

har ek kamand arsa-e-afaq hi pe thi

lekin buland jitna hua utna past tha

thi hausle ki baat zamane mein zindagi

qadmon ka fasla bhi yahan ek jast tha

bikhre hue the log KHud apne wajud mein

insan ki zindagi ka ajab bandobast tha

marne ke baad azmat o shohrat se faeda

lekin jahan tamam hi murda-parast tha

sarmaya-e-hayat the kuchh naqd-e-dagh-e-dil

sach baat to hai ye ki bahut tang-dast tha

arz-e-niyaz-e-shauq se tha be-niyaz dil

mulk-e-hawas mein 'ashk' akela hi mast tha

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mishal-ba-kaf Kabhi To Kabhi Dil-ba-dast Tha In English By Famous Poet Ibrahim Ashk. Mishal-ba-kaf Kabhi To Kabhi Dil-ba-dast Tha is written by Ibrahim Ashk. Read famous Poem Mishal-ba-kaf Kabhi To Kabhi Dil-ba-dast Tha for youth and Student by Ibrahim Ashk. Free Download Mishal-ba-kaf Kabhi To Kabhi Dil-ba-dast Tha in PDF.