Mujhe Na Dekho Mere Jism Ka Dhuan Dekho

mujhe na dekho mere jism ka dhuan dekho

jala hai kaise ye aabaad sa makan dekho

na chaT jae kaDi dhup surKHiyan lab ki

shajar ki chhanw kisi ghar ka saeban dekho

mohabbaton ki tasalli bahut zaruri hai

sitam ke shahr mein ek yar-e-mehrban dekho

koi bharosa nahin abr ke barasne ka

baDhegi pyas ki shiddat na aasman dekho

tumhaara waqt nahin sach ke bolne walo

na chup rahoge to kaT jaegi zaban dekho

koi hasin abhi raste se guzra hai

lagao aankh se qadmon ke jo nishan dekho

hunar to roz hi bikta hai chand sikkon mein

KHarid le na zamana tumhein aman dekho

nahin hai tum mein saliqa jo ghar banane ka

to 'ashk' jao parindon ke aashiyan dekho

(1072) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Na Dekho Mere Jism Ka Dhuan Dekho In English By Famous Poet Ibrahim Ashk. Mujhe Na Dekho Mere Jism Ka Dhuan Dekho is written by Ibrahim Ashk. Read famous Poem Mujhe Na Dekho Mere Jism Ka Dhuan Dekho for youth and Student by Ibrahim Ashk. Free Download Mujhe Na Dekho Mere Jism Ka Dhuan Dekho in PDF.