Na Ku-e-yar Mein Thahra Na Anjuman Mein Raha

na ku-e-yar mein Thahra na anjuman mein raha

ada-e-naz se ye dil sara-e-fan mein raha

hazaron tufan uThae hain waqt aane par

lahu bhi KHas ada se mere badan mein raha

main ek rang tha rang-e-KHayal-e-awara

kisi dhanak mein kisi rut ke pairahan mein raha

ana hi thi ki na jhukne diya kabhi mujh ko

pahaD sar pe uTha kar bhi bankpan mein raha

wo main hi tha ki koi aur tha nahin malum

tamam umr jo mere hi jaan o tan mein raha

safir-e-jaan ke liye manzilen nahin hotin

koi paDaw bhi aaya to wo thakan mein raha

uThi jo saif-e-sitam be-niyaz-e-maut-o-hayat

qalam-ba-dast khaDa wadi-e-suKHan mein raha

(1061) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ku-e-yar Mein Thahra Na Anjuman Mein Raha In English By Famous Poet Ibrahim Ashk. Na Ku-e-yar Mein Thahra Na Anjuman Mein Raha is written by Ibrahim Ashk. Read famous Poem Na Ku-e-yar Mein Thahra Na Anjuman Mein Raha for youth and Student by Ibrahim Ashk. Free Download Na Ku-e-yar Mein Thahra Na Anjuman Mein Raha in PDF.