Zehn O Dil Ke Fasle The Hum Jinhen Sahte Rahe

zehn o dil ke fasle the hum jinhen sahte rahe

ek hi ghar mein bahut se ajnabi rahte rahe

dur tak sahil pe dil ke aablon ka aks tha

kashtiyan sholon ki dariya mom ke bahte rahe

kaise pahunche manzilon tak wahshaton ke qafile

hum sarabon se safar ki dastan kahte rahe

aane wale mausamon ko tazgi milti gai

apni fasl-e-arzu ko hum KHizan kahte rahe

kaise miT paengi 'zarrin' ye haden afkar ki

TuT kar dil ke kinare dur tak bahte rahe

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zehn O Dil Ke Fasle The Hum Jinhen Sahte Rahe In English By Famous Poet Iffat Zarrin. Zehn O Dil Ke Fasle The Hum Jinhen Sahte Rahe is written by Iffat Zarrin. Read famous Poem Zehn O Dil Ke Fasle The Hum Jinhen Sahte Rahe for youth and Student by Iffat Zarrin. Free Download Zehn O Dil Ke Fasle The Hum Jinhen Sahte Rahe in PDF.