Sitaron Se Bhara Ye Aasman Kaisa Lagega

sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega

hamare baad tum ko ye jahan kaisa lagega

thake-haare hue suraj ki bhigi raushni mein

hawaon se ulajhta baadban kaisa lagega

jame qadmon ke niche se phisalti jaegi ret

bikhar jaegi jab umr-e-rawan kaisa lagega

isi miTTi mein mil jaegi punji umr bhar ki

giregi jis ghaDi diwar-e-jaan kaisa lagega

bahut itra rahe ho dil ki bazi jitne par

ziyan baad az ziyan baad az ziyan kaisa lagega

wo jis ke baad hogi ek musalsal be-niyazi

ghaDi bhar ka wo sab shor o fughan kaisa lagega

abhi se kya bataen marg-e-majnun ki KHabar par

suluk-e-kucha-e-na-mehrban kaisa lagega

batao to sahi ai jaan-e-jaan kaisa lagega

sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega

(1723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitaron Se Bhara Ye Aasman Kaisa Lagega In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Sitaron Se Bhara Ye Aasman Kaisa Lagega is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Sitaron Se Bhara Ye Aasman Kaisa Lagega for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Sitaron Se Bhara Ye Aasman Kaisa Lagega in PDF.