SuKHan-e-haq Ko Fazilat Nahin Milne Wali

suKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali

sabr par dad-e-shujaat nahin milne wali

waqt-e-malum ki dahshat se larazta hua dil

Duba jata hai ki mohlat nahin milne wali

zindagi nazr guzari to mili chadar-e-KHak

is se kam par to ye neamat nahin milne wali

ras aane lagi duniya to kaha dil ne ki ja

ab tujhe dard ki daulat nahin milne wali

hawas-e-luqma-e-tar kha gai lahje ka jalal

ab kisi harf ko hurmat nahin milne wali

ghar se nikle hue beTon ka muqaddar malum

man ke qadmon mein bhi jannat nahin milne wali

zindagi bhar ki kamai yahi misre do-chaar

is kamai pe to izzat nahin milne wali

(1513) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SuKHan-e-haq Ko Fazilat Nahin Milne Wali In English By Famous Poet Iftikhar Arif. SuKHan-e-haq Ko Fazilat Nahin Milne Wali is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem SuKHan-e-haq Ko Fazilat Nahin Milne Wali for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download SuKHan-e-haq Ko Fazilat Nahin Milne Wali in PDF.