Thakan To Agle Safar Ke Liye Bahana Tha

thakan to agle safar ke liye bahana tha

use to yun bhi kisi aur samt jaana tha

wahi charagh bujha jis ki lau qayamat thi

usi pe zarb paDi jo shajar purana tha

mata-e-jaan ka badal ek pal ki sarshaari

suluk KHwab ka aankhon se tajirana tha

hawa ki kaT shagufon ne jazb kar li thi

tabhi to lahja-e-KHushbu bhi jarehana tha

wahi firaq ki baaten wahi hikayat-e-wasl

nai kitab ka ek ek waraq purana tha

qaba-e-zard nigar-e-KHizan pe sajti thi

tabhi to chaal ka andaz KHusrawana tha

(1236) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thakan To Agle Safar Ke Liye Bahana Tha In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Thakan To Agle Safar Ke Liye Bahana Tha is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Thakan To Agle Safar Ke Liye Bahana Tha for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Thakan To Agle Safar Ke Liye Bahana Tha in PDF.