Umid-o-bim Ke Mehwar Se HaT Ke Dekhte Hain

umid-o-bim ke mehwar se haT ke dekhte hain

zara si der ko duniya se kaT ke dekhte hain

bikhar chuke hain bahut bagh o dasht o dariya mein

ab apne hujra-e-jaan mein simaT ke dekhte hain

tamam KHana-ba-doshon mein mushtarak hai ye baat

sab apne apne gharon ko palaT ke dekhte hain

phir is ke baad jo hona hai ho rahe sar-e-dast

bisat-e-afiyat-e-jaan ulaT ke dekhte hain

wahi hai KHwab jise mil ke sab ne dekha tha

ab apne apne qabilon mein baT ke dekhte hain

suna ye hai ki subuk ho chali hai qimat-e-harf

so hum bhi ab qad-o-qamat mein ghaT ke dekhte hain

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umid-o-bim Ke Mehwar Se HaT Ke Dekhte Hain In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Umid-o-bim Ke Mehwar Se HaT Ke Dekhte Hain is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Umid-o-bim Ke Mehwar Se HaT Ke Dekhte Hain for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Umid-o-bim Ke Mehwar Se HaT Ke Dekhte Hain in PDF.