Kuchh Der Pahle Nind Se

main jin ko chhoD aaya tha shanasai ki basti ke wo sare raste aawaz dete hain

nahin malum ab kis waste aawaz dete hain

lahu mein KHak uDti hai

badan KHwahish-ba-KHwahish Dah raha hai

aur nafas ki aamad-o-shud dil ki na-hamwariyon par bain karti hai

wo sare KHwab ek ek kar ke ruKHsat ho chuke hain jin se aankhen jagti thin

aur ummidon ke rauzan shahr-e-ainda mein khilte the

bahut aahista aahista

andhera dil mein, aankhon mein, lahu mein, bahte bahte jam gaya hai

waqt jaise tham gaya hai

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Der Pahle Nind Se In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Kuchh Der Pahle Nind Se is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Kuchh Der Pahle Nind Se for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Kuchh Der Pahle Nind Se in PDF.