Har Mushkil Aasan Banane Wala Tha

har mushkil aasan banane wala tha

main patthar ke pan banane wala tha

KHwabon ki tawil samajh se bahar thi

jab main pakistan banane wala tha

haq bahu haq bahu kah kar ek faqir

bahu ko sultan banane wala tha

mujh aisa bahlol kahan se laoge

nar se jo naran banane wala tha

shahzadi ne jis ki KHatir zahr piya

ek dehati nan banane wala tha

aap ne mera hath na thama hota to

main KHud ko shaitan banane wala tha

darwazon ki sakh bachane ki KHatir

diwaron ke kan banane wala tha

aap ki ek ek baat ghazal mein Dhaal ke main

aan ki aan mein tan banane wala tha

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Mushkil Aasan Banane Wala Tha In English By Famous Poet Iftikhar Falak Kazmi. Har Mushkil Aasan Banane Wala Tha is written by Iftikhar Falak Kazmi. Read famous Poem Har Mushkil Aasan Banane Wala Tha for youth and Student by Iftikhar Falak Kazmi. Free Download Har Mushkil Aasan Banane Wala Tha in PDF.