Hath Hathon Mein Na De Baat Hi Karta Jae

hath hathon mein na de baat hi karta jae

hai bahut lamba safar yun to na Darta jae

ji mein Thani hai ki jina hai bahar-haal mujhe

jis ko marna hai wo chup-chap hi marta jae

KHud ko mazbut bana rakkhe pahaDon ki tarah

ret ka aadmi andar se bikharta jae

surKH phulon ka nahin zard udasi ka sahi

rang kuchh to meri taswir mein bharta jae

mujh se nafrat hai agar us ko to izhaar kare

kab main kahta hun mujhe pyar hi karta jae

ghar ki diwar ko itna bhi tu uncha na bana

tera ham-saya tere sae se Darta jae

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hath Hathon Mein Na De Baat Hi Karta Jae In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Hath Hathon Mein Na De Baat Hi Karta Jae is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Hath Hathon Mein Na De Baat Hi Karta Jae for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Hath Hathon Mein Na De Baat Hi Karta Jae in PDF.