Hai Justuju Agar Isko Idhar Bhi Aaega

hai justuju agar is ko idhar bhi aaega

nikal paDa hai to phir mere ghar bhi aaega

tamam umr kaTegi yunhi sarabon mein

wo samne bhi na hoga nazar bhi aaega

jo gham hua hai nae shahar ke makanon mein

wo dekhne ko kabhi ye khanDar bhi aaega

rachi hai mere badan mein tamam din ki thakan

abhi to raat ka lamba safar bhi aaega

zara si der mein har shai chamak uThegi 'nasim'

sahar hui hai to nur-e-sahar bhi aaega

(919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Justuju Agar Isko Idhar Bhi Aaega In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Hai Justuju Agar Isko Idhar Bhi Aaega is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Hai Justuju Agar Isko Idhar Bhi Aaega for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Hai Justuju Agar Isko Idhar Bhi Aaega in PDF.