Hath Lahraata Raha Wo BaiTh Kar KhiDki Ke Sath

hath lahraata raha wo baiTh kar khiDki ke sath

main akela dur tak bhaga gaya gaDi ke sath

ho gaya hai ye makan KHali sadaon se magar

zehn ab tak gunjta hai rail ki siTi ke sath

muddaten jis ko lagi thin mere pas aate hue

ho gaya mujh se juda wo kis qadar tezi ke sath

koi baadal mere tapte jism par barsa nahin

jal raha hun jaane kab se jism ki garmi ke sath

nind katra ke guzar jati hai aankhon se 'nasim'

jagta rahta hun ab main shab ki virani ke sath

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hath Lahraata Raha Wo BaiTh Kar KhiDki Ke Sath In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Hath Lahraata Raha Wo BaiTh Kar KhiDki Ke Sath is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Hath Lahraata Raha Wo BaiTh Kar KhiDki Ke Sath for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Hath Lahraata Raha Wo BaiTh Kar KhiDki Ke Sath in PDF.