Is Qadar Bhi To Na Jazbaat Pe Qabu Rakkho

is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho

thak gae ho to mere kandhe pe bazu rakkho

bhulne pae na is dasht ki wahshat dil se

shahr ke bich raho bagh mein aahu rakkho

KHushk ho jaegi rote hue sahra ki tarah

kuchh bacha kar bhi to is aankh mein aansu rakkho

raushni hogi to aa jaega rah-raw dil ka

us ki yaadon ke diye taq mein har-su rakkho

yaad aaegi tumhaari hi safar mein us ko

us ke rumal mein ek achchhi si KHushbu rakkho

ab wo mahbub nahin apna magar dost to hai

us se ye ek talluq hi bahar-su rakkho

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Qadar Bhi To Na Jazbaat Pe Qabu Rakkho In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Is Qadar Bhi To Na Jazbaat Pe Qabu Rakkho is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Is Qadar Bhi To Na Jazbaat Pe Qabu Rakkho for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Is Qadar Bhi To Na Jazbaat Pe Qabu Rakkho in PDF.