Garche Qalam Se Kuchh Na Likhenge Munh Se Kuchh Nahin Bolenge

garche qalam se kuchh na likhenge munh se kuchh nahin bolenge

phir bhi julus-e-dar chala to sath hum us ke ho lenge

waqt aaya to KHun se apne dagh-e-nadamat dho lenge

saya-e-zulf mein jagne wale saya-e-dar mein so lenge

kaun se sahil par ye safine apna langar kholenge

ruKH pe hawa ke ho lenge to dariya dariya Dolenge

jin mallahon ko tufan se tund hawa ne par kiya

kya ab sahil par aa kar wo apni naw Dubo lenge

jab bhi dasht-e-wafa mein raqs-e-abla-pa yan howega

ahl-e-wafa us se pahle hi rah mein kanTe bo lenge

lafzon se ehsas ka rishta jis lamhe tak qaem hai

sachche samjho ya jhuTe kuchh moti hum bhi piro lenge

nafsa-nafsi ke aalam mein kaun kisi ka hath baTae

apna apna bojh hai 'ishqi' fardan-fardan Dho lenge

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garche Qalam Se Kuchh Na Likhenge Munh Se Kuchh Nahin Bolenge In English By Famous Poet Ilyas Ishqi. Garche Qalam Se Kuchh Na Likhenge Munh Se Kuchh Nahin Bolenge is written by Ilyas Ishqi. Read famous Poem Garche Qalam Se Kuchh Na Likhenge Munh Se Kuchh Nahin Bolenge for youth and Student by Ilyas Ishqi. Free Download Garche Qalam Se Kuchh Na Likhenge Munh Se Kuchh Nahin Bolenge in PDF.