Ishqi-sahib Likhna Hai To Koi Nai Tahrir Likho

'ishqi'-sahib likhna hai to koi nai tahrir likho

ab tak tum ne KHwab likhe ab KHwabon ki tabir likho

is uljhan ko suljhane ki kaun si hai tadbir likho

ishq agar hai jurm to mujrim ranjha hai ya hir likho

jahan bhi qasr-e-shirin dekho 'KHusrow' ki jagir likho

koh jahan hael hua us par KHun se ju-e-shir likho

dasht se aazadi ki hawaen un ko bulane aati hain

ahl-e-junun ko rokne wali kaun si hai zanjir likho

shahr-e-suKHan ke izzat-daro kuchh to kisi ka pas karo

koi to hoga jis ko aaKHir tum sahib-e-tauqir likho

ham-watanon ke dard ka darman aisa kuchh dushwar nahin

nam-e-watan hai ism-e-azam KHak-e-watan iksir likho

apni kamanden phenk ke jis ko qaid kiya hai zulmat ne

wo suraj kab ubhrega kab phailegi tanwir likho

apne ahd ki saffaki par ye KHamoshi tanz nahin

koi to hoga is ka sabab kyun baiThe ho dil-gir likho

jab tak sar se KHun na bahega koh-kani hai KHam KHayal

teshe ko KHallaq kaho ya patthar ko taswir likho

Dha de jo insan ke dil mein rang o nasl ki diwaren

koi to dastur-e-mohabbat aisa aalamgir likho

har har daur ke likhne wale hashiye us ke likhte hain

apne ahd mein nusKHa-e-dil ki tum bhi koi tafsir likho

harf ki taqat be-payan hai harf ke hain imkan bahut

harf ko zinda karna sikho phir chahe taqdir likho

dil par jis ke naqsh na ubhrin wo kya abru kaisi nazar

kitna hi tum tir nazar ko abru ko shamshir likho

raushan kaise hoga sawad-e-harf jo KHun-e-dil na jala

charba tum 'ghaalib' ka utaro chahe ba-rang-e-'mir' likho

apne dukhDe likh likh kar diwan to tum ne jama kiya

dil ko jo badle ab koi aisa sher-e-pur-tasir likho

(1375) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishqi-sahib Likhna Hai To Koi Nai Tahrir Likho In English By Famous Poet Ilyas Ishqi. Ishqi-sahib Likhna Hai To Koi Nai Tahrir Likho is written by Ilyas Ishqi. Read famous Poem Ishqi-sahib Likhna Hai To Koi Nai Tahrir Likho for youth and Student by Ilyas Ishqi. Free Download Ishqi-sahib Likhna Hai To Koi Nai Tahrir Likho in PDF.