Prit-nagar Ki Rit Nahin Hai Aisa Ochha-pan Baba

prit-nagar ki rit nahin hai aisa ochha-pan baba

itni sudh-budh kis ko yahan jo soche tan-man-dhan baba

un ki koi Thor nahin hai sanjh kahin hain bhor kahin

prit ke roge banjare hain basti ho ya ban baba

lakh jatan se juD na sakega pahle batae dete hain

TuT gaya to TuT gaya bas man ka ye darpan baba

us ki baalak-haT ke aage ghar chhoDa bairag liya

dekhen kya din dikhlata hai ab ye murakh man baba

bin jo apne pas na hoti hum jogi bhi bhaTak jate

kya kya rup badal kar aai maya ki nagan baba

hum jo magan hain dhyan mein apne us ko bhi dhoka jaano

kis se suljhi sans ke tane-bane ki uljhan baba

ab dukh-sukh ka bhed batane aae ho jab 'ishqi' ka

prit dharm hai prit karam hai prit se hai jiwan paya

(919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Prit-nagar Ki Rit Nahin Hai Aisa Ochha-pan Baba In English By Famous Poet Ilyas Ishqi. Prit-nagar Ki Rit Nahin Hai Aisa Ochha-pan Baba is written by Ilyas Ishqi. Read famous Poem Prit-nagar Ki Rit Nahin Hai Aisa Ochha-pan Baba for youth and Student by Ilyas Ishqi. Free Download Prit-nagar Ki Rit Nahin Hai Aisa Ochha-pan Baba in PDF.