Jo Narm Lahje Mein Baat Karna Sikha Gaya Hai

jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai

wo shaKHs 'imdad' mujh ko kundan bana gaya hai

mohabbaton ke nagar se aaya tha jo payami

gira ke diwar nafraton ki chala gaya hai

main wo musafir hun jis ka koi nahin Thikana

ye na-rasai ka zaKHm mujh ko rula gaya hai

musalahat ka paDha hai jab se nisab main ne

saliqa duniya mein zinda rahne ka aa gaya hai

yahan ke karbal mein koi tishna-dahan nahin hai

wo fauj nahr-e-furaat par kyun biTha gaya hai

main us musafir ko yaad kar ke mutmain hun

jo Dher sari duaen de ke chala gaya hai

(913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Narm Lahje Mein Baat Karna Sikha Gaya Hai In English By Famous Poet Imdad Hamdani. Jo Narm Lahje Mein Baat Karna Sikha Gaya Hai is written by Imdad Hamdani. Read famous Poem Jo Narm Lahje Mein Baat Karna Sikha Gaya Hai for youth and Student by Imdad Hamdani. Free Download Jo Narm Lahje Mein Baat Karna Sikha Gaya Hai in PDF.