Kisi Ke Waste Kya Kya Hamein Dukh Jhelne Honge

kisi ke waste kya kya hamein dukh jhelne honge

shabon ko jagna hoga kaDe din kaTne honge

teri sangin fasilon ko to jumbish tak nahin aai

hawaen le uDin jin ko wo apne jhonpaDe honge

bhanwar tak to koi aaya nahin mere liye lekin

main bach nikla to sahil par kai bazu khule honge

KHizan ka zahr sare shahr ki rag rag mein utra hai

gali-kuchon mein ab to zard chehre dekhne honge

hamein duniya ki gardish ye tamasha bhi dikhaegi

gharon mein tirgi hogi munDeron par diye honge

koi daulat nahin 'imdad' apne dast o daman mein

faqat yaadon ke sikke dil tijori mein rakhe honge

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Waste Kya Kya Hamein Dukh Jhelne Honge In English By Famous Poet Imdad Hamdani. Kisi Ke Waste Kya Kya Hamein Dukh Jhelne Honge is written by Imdad Hamdani. Read famous Poem Kisi Ke Waste Kya Kya Hamein Dukh Jhelne Honge for youth and Student by Imdad Hamdani. Free Download Kisi Ke Waste Kya Kya Hamein Dukh Jhelne Honge in PDF.