Main Sari Umr Ahd-e-wafa Mein Laga Raha

main sari umr ahd-e-wafa mein laga raha

anjam kah raha hai KHata mein laga raha

sare purane zaKHm nae zaKHm ne bhare

bekar itne din main dawa mein laga raha

aisa nahin ki chand na utra ho baam par

main hi tamam raat haya mein laga raha

ai aql aur hoga koi us ki shakl ka

dil kaise man le wo jafa mein laga raha

ghar kar liya udas fazaon ne dil mein main

bahar ki KHush-gawar faza mein laga raha

kya hai ye zindagi wo bataega kis tarah

jo shaKHs sari umr qaza mein laga raha

suraj to ja ke chain se bistar pe so gaya

shab bhar magar charagh hawa mein laga raha

mujh se namaz-e-ishq mukammal nahin hui

kis munh se main kahun ki KHuda mein laga raha

bahra na mujh ko kar de ye KHamoshiyon ka shor

kewal isi liye main sada mein laga raha

kyun mere haq mein faisla utra nahin kabhi

main bhi to us ke sath dua mein laga raha

wo chahta hai kya ye mujhe thi KHabar magar

mein us ke sath sath dua mein laga raha

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Sari Umr Ahd-e-wafa Mein Laga Raha In English By Famous Poet Imran Husain Azad. Main Sari Umr Ahd-e-wafa Mein Laga Raha is written by Imran Husain Azad. Read famous Poem Main Sari Umr Ahd-e-wafa Mein Laga Raha for youth and Student by Imran Husain Azad. Free Download Main Sari Umr Ahd-e-wafa Mein Laga Raha in PDF.