Main Shajar Hun Aur Ek Patta Hai Tu

main shajar hun aur ek patta hai tu

meri hi to shaKH se TuTa hai tu

shaeri mein rose tufan se laDa

kya samundar mein kabhi utra hai tu

subh tak sahmi rahin aankhen meri

KHwab kaisi rah se guzra hai tu

kya KHabar kab sath mera chhoD de

aankhon mein Thahra hua qatra hai tu

kuchh kami shayad teri miTTi mein hai

jab sameTa dil tujhe bikhra hai tu

waqt-e-ruKHsat tu bura mat kah ise

umr bhar is jism mein Thahra hai tu

buz-dili kewal mere andar hai kya

yun mujhe hairat se kyun takta hai tu

ye teri sazish hai ya phir ittifaq

main jahan Duba wahin ubhra hai tu

jo andhere mein kahin gum ho gaya

sochta hun kya wahi saya hai tu

kya KHabar muKHbir hawa ka ho wahi

ai diye jis ke liye jalta hai tu

zindagi ne phir tujhe uljha liya

main na kahta tha abhi bachcha hai tu

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Shajar Hun Aur Ek Patta Hai Tu In English By Famous Poet Imran Husain Azad. Main Shajar Hun Aur Ek Patta Hai Tu is written by Imran Husain Azad. Read famous Poem Main Shajar Hun Aur Ek Patta Hai Tu for youth and Student by Imran Husain Azad. Free Download Main Shajar Hun Aur Ek Patta Hai Tu in PDF.