Talash Maine Zindagi Mein Teri Be-shumar Ki

talash main ne zindagi mein teri be-shumar ki

jo tu nahin mila to tujh si shakl iKHtiyar ki

taqaza karne maut aai tab mujhe pata laga

abhi talak main le raha tha sans bhi udhaar ki

thi sard yaad ki hawa main dasht mein tha mazi ke

na puchhiye janab main ne kaise raat par ki

tamam shab guzar gai bas ek is umid mein

palaT ke aaegi sada kabhi to is pukar ki

ThiThur rahe hain kyun bhala KHuda ke hi to hum bhi hain

chalo uTha ke oDh len wo chadaren mazar ki

jala din main ne zehn ki kitaben sari is liye

ki dastan thi sabhi mein us ke intizar ki

bikherti hai shab mujhe sameT leti hai sahar

main chahta hun KHatm ho ye jang bar bar ki

mujhe ghurur toDna tha mauj ka isi liye

utar paDa main naw se badan se naddi par ki

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talash Maine Zindagi Mein Teri Be-shumar Ki In English By Famous Poet Imran Husain Azad. Talash Maine Zindagi Mein Teri Be-shumar Ki is written by Imran Husain Azad. Read famous Poem Talash Maine Zindagi Mein Teri Be-shumar Ki for youth and Student by Imran Husain Azad. Free Download Talash Maine Zindagi Mein Teri Be-shumar Ki in PDF.