Aaj Phir Chand Usne Manga Hai

aaj phir chand us ne manga hai

chand ka dagh phir chhupana hai

chand ka husn to hai la-sani

phir bhi kitna falak pe tanha hai

kash kuchh aur mangta mujh se

chand KHud gardishon ka mara hai

dur hai chand is zamin se bahut

phir bhi har shab tawaf karta hai

bastiyon se nikal ke sahra mein

justuju kis ki roz karta hai

kis KHata ki saza mili us ko

kis liye roz ghaTta baDhta hai

chand se ye zamin nahin tanha

ai falak tu bhi jagmagaya hai

aaj taron ki bazm chamki hai

chand par baadalon ka saya hai

raushni phuT nikli misron se

chand ko jab ghazal mein socha hai

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Phir Chand Usne Manga Hai In English By Famous Poet Indira Varma. Aaj Phir Chand Usne Manga Hai is written by Indira Varma. Read famous Poem Aaj Phir Chand Usne Manga Hai for youth and Student by Indira Varma. Free Download Aaj Phir Chand Usne Manga Hai in PDF.