Abhi Se Kaise Kahun Tumko Bewafa Sahab

abhi se kaise kahun tum ko bewafa sahab

abhi to apne safar ki hai ibtida sahab

na jaane kitne laqab de raha hai dil tum ko

huzur jaan-e-wafa aur ham-nawa sahab

tumhaari yaad mein tare shumar karti hun

na jaane KHatm kahan ho ye silsila sahab

kitab-e-zist ka unwan ban gae ho tum

hamare pyar ki dekho ye intiha sahab

tumhaara chehra mere aks se ubharta hai

na jaane kaun badalta hai aaina sahab

rah-e-wafa mein zara ehtiyat lazim hai

har ek gam pe hota hai hadsa sahab

siyah raat hai mahtab ban ke aa jao

ye 'indira' ke labon par hai iltija sahab

(1024) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Se Kaise Kahun Tumko Bewafa Sahab In English By Famous Poet Indira Varma. Abhi Se Kaise Kahun Tumko Bewafa Sahab is written by Indira Varma. Read famous Poem Abhi Se Kaise Kahun Tumko Bewafa Sahab for youth and Student by Indira Varma. Free Download Abhi Se Kaise Kahun Tumko Bewafa Sahab in PDF.