Shikasta-dil Andheri Shab Akela Rahbar Kyun Ho

shikasta-dil andheri shab akela rahbar kyun ho

na ho jab ham-safar koi to apna bhi safar kyun ho

kisi ki yaad mein aansu ka rishta is tarah rakkho

ki dil pahlu agar badle to chehra tar-ba-tar kyun ho

mere hamdam mere dilbar zara itna bata dena

koi bedard ho to dard dil mein is qadar kyun ho

kabhi bhule se jo paigham un ka aaya bhi ek din

judai ki taDap mein roz aisa hi asar kyun ho

nashsha aankhon mein le kar so raho ai jagne walo

agar ye aankh khul jae to KHwabon ka guzar kyun ho

pareshan raat mein dil hai charagh-e-as ki manind

shab-e-wada na aae wo to raushan si sahar kyun ho

musalsal raat din chalna hai rah-e-ishq mein tanha

kisi ke waste ye rah aaKHir muKHtasar kyun ho

mohabbat mein suna hai rah dil ki dil se hoti hai

agar yun 'indira' taDpe to jaanan be-KHabar kyun ho

(785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikasta-dil Andheri Shab Akela Rahbar Kyun Ho In English By Famous Poet Indira Varma. Shikasta-dil Andheri Shab Akela Rahbar Kyun Ho is written by Indira Varma. Read famous Poem Shikasta-dil Andheri Shab Akela Rahbar Kyun Ho for youth and Student by Indira Varma. Free Download Shikasta-dil Andheri Shab Akela Rahbar Kyun Ho in PDF.