Wo Ajib ShaKHs Tha BhiD Mein Jo Nazar Mein Aise Utar Gaya

wo ajib shaKHs tha bhiD mein jo nazar mein aise utar gaya

jise dekh kar mere honT par mera apna sher Thahar gaya

kai sher us ki nigah se mere ruKH pe aa ke ghazal bane

wo nirala tarz-e-payam tha jo suKHan ki had se guzar gaya

wo har ek lafz mein chand tha wo har ek harf mein nur tha

wo chamakte misron ka aks tha jo ghazal mein KHud hi sanwar gaya

jo likhun to nok-e-qalam pe wo jo paDhun to nok-e-zaban pe wo

mera zauq bhi mera shauq bhi mere sath sath nikhar gaya

ho taDap to dil mein ghazal bane ho milan to git hun pyar ke

han ajib shaKHs tha 'indira' jo sikha ke aise hunar gaya

(1321) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ajib ShaKHs Tha BhiD Mein Jo Nazar Mein Aise Utar Gaya In English By Famous Poet Indira Varma. Wo Ajib ShaKHs Tha BhiD Mein Jo Nazar Mein Aise Utar Gaya is written by Indira Varma. Read famous Poem Wo Ajib ShaKHs Tha BhiD Mein Jo Nazar Mein Aise Utar Gaya for youth and Student by Indira Varma. Free Download Wo Ajib ShaKHs Tha BhiD Mein Jo Nazar Mein Aise Utar Gaya in PDF.