Ye Mausam Surmai Hai Aur Main Hun

ye mausam surmai hai aur main hun

magar bas KHamushi hai aur main hun

na jaane kab wo badle ruKH idhar ko

musalsal be-ruKHi hai aur main hun

taghaful par taghaful ho rahe hain

kisi ki dil-lagi hai aur main hun

tasawwur hi sahaara ban gaya hai

ajab tanhai si hai aur main hun

ye kaisi waqt ne badli hai karwaT

fareb-e-zindagi hai aur main hun

labon pe nam chehra hai nazar mein

baDi nazuk ghaDi hai aur main hun

udasi 'indira' itni baDhi hai

hamesha shairi hai aur main hun

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Mausam Surmai Hai Aur Main Hun In English By Famous Poet Indira Varma. Ye Mausam Surmai Hai Aur Main Hun is written by Indira Varma. Read famous Poem Ye Mausam Surmai Hai Aur Main Hun for youth and Student by Indira Varma. Free Download Ye Mausam Surmai Hai Aur Main Hun in PDF.