Lab Pe Aai Hui Ye Jaan Phire

lab pe aai hui ye jaan phire

yar gar is taraf ko aan phire

chain kya ho hamein jab aaTh pahar

apne aankhon mein wo jawan phire

KHun-e-ashiq chhuTa ki hai lazim

tere talwar par ye san phire

saqiya aaj jam-e-sahba par

kyun na lahraati apni jaan phire

hichkiyan li hai is tarah bat-e-mai

jis tarah gaTkari mein tan phire

ya to wo ahd the ki hum hargiz

na phirenge agar jahan phire

aae ab roke ho maaz-allah

aap se shaKHs ki zaban phire

ruTh kar uTh chale the 'insha' se

bare phir ho ke mehrban phire

(737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab Pe Aai Hui Ye Jaan Phire In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Lab Pe Aai Hui Ye Jaan Phire is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Lab Pe Aai Hui Ye Jaan Phire for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Lab Pe Aai Hui Ye Jaan Phire in PDF.