Tuk Aankh Milate Hi Kiya Kaam Hamara

Tuk aankh milate hi kiya kaam hamara

tis par ye ghazab puchhte ho nam hamara

tum ne to nahin KHair ye farmaiye bare

phir kin ne liya rahat-o-aram hamara

main ne jo kaha aaiye mujh pas to bole

kyun kis liye kis waste kya kaam hamara

rakhte hain kahin panw to paDte hain kahin aur

saqi tu zara hath to le tham hamara

Tuk dekh idhar ghaur kar insaf ye hai wah

ho jurm o gunah ghair se aur nam hamara

ai baad-e-saba mahfil-e-ahbab mein kahiyo

dekha hai jo kuchh haal tah-e-dam hamara

gar waqt-e-sahar jaiye hota hai ye irshad

hai waqt-e-mulaqat sar-e-sham hamara

phir sham ko aae to kaha subh ko yunhi

rahta hai sada aap par ilzam hamara

sar-gashtagi-e-marhala-e-shauq mein ai ishq

paDta hai nai waza se har gam hamara

ai barhamn-e-dair mohabbat mein sanam ki

allah hi baqi rakhe islam hamara

hum kucha-e-dildar ke hote hain tasadduq

ai sheKH-e-haram hai yahi ehram hamara

betabi-e-dil ke sabab us shoKH tak 'insha'

pahunche hai bila wasta paigham hamara

(1299) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tuk Aankh Milate Hi Kiya Kaam Hamara In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Tuk Aankh Milate Hi Kiya Kaam Hamara is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Tuk Aankh Milate Hi Kiya Kaam Hamara for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Tuk Aankh Milate Hi Kiya Kaam Hamara in PDF.