Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai

Tuk ek ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharab hai

wo jo husn-e-alam-e-nashsha hai use ab ki ain-shabab hai

wo ghaTaen chhain jo kaliyan jo hari-bhari huin Daliyan

ubhar aain phulon ki laliyan to bajae aab-e-shahab hai

ye do-roza nashw-o-numa ko tu na samajh ki naqsh-e-pur-ab se

ye sarab hai ye habab hai faqat ek qissa-e-KHwab hai

araq-e-bahaar-e-sharab hai wo hi aaj chhiDkenge aap par

na to bed-e-mushk hai is ghaDi na to kewDa na gulab hai

unhen kahne sunne se bair hai jo KHud aaen so to ba-KHair hai

ye gharaz ki zor hi sair hai na sawal hai na jawab hai

kidhar aaun jaun karun so kya mera ji hi nak mein aa gaya

na to arz-e-haal ki tab hai na to sabr-e-KHana-KHarab hai

mujhe wahsh-o-tair se rashk hai ki kabhi unhon ko kisi namat

na sawal hai na jawab hai na azab hai na iqab hai

meri baat man suna dila na to arz o farz pe ji chala

koi un ko Toke so kya bhala ki wo aali un ki janab hai

are 'insha' ab jo ye daur hai teri waza in dinon aur hai

ye bhi koi zist ka taur hai na sharab hai na kabab hai

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai in PDF.