Mil Gae Par Hijab Baqi Hai

mil gae par hijab baqi hai

fikr-e-naz-o-itab baqi hai

baat sab Thik-Thak hai pa abhi

kuchh sawal-o-jawab baqi hai

garche majun kha chuke lekin

daur-e-jam-e-sharab baqi hai

jhuTe wade se un ke yan ab tak

shikwa-e-be-hisab baqi hai

gah kahte hain sham hui abhi

zarra-e-aftab baqi hai

phir kabhi ye ki abr mein kuchh-kuchh

partaw-e-mahtab baqi hai

hai kabhi ye ki tujh pe chhiDkenge

jo lagan mein shahab baqi hai

aur bhaDke hai ishtiyaq ki aag

ab kise sabr-o-tab baqi hai

uD gai nind aankh se kis ki

lazzat-e-KHurd-o-KHwab baqi hai

hai KHushi sab tarah ki, nahaq ka

KHatra-e-inqalab baqi hai

hai wo dil ki dhaDak so jun ki tun

ji par us ka azab baqi hai

jo bhara shisha tha hua KHali

par wo bu-e-gulab baqi hai

apni ummid thi so bar aai

yas shakl-e-sarab baqi hai

hai yahi Dol jab tak aankhon mein

dam basan-e-habab baqi hai

misl-e-farmuda-e-huzur 'insha'

phir wahi iztirab baqi hai

(1044) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mil Gae Par Hijab Baqi Hai In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Mil Gae Par Hijab Baqi Hai is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Mil Gae Par Hijab Baqi Hai for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Mil Gae Par Hijab Baqi Hai in PDF.