Kabhi Kasak Judai Ki Kabhi Mahak Visal Ki

kabhi kasak judai ki kabhi mahak visal ki

qadam na the zamin pe jab wo umr thi kamal ki

kai dinon se fikr ka ufuq udas udas hai

na jaane kho gai kahan dhanak tere KHayal ki

rafaqaton ke wo nishan na jaane kho gae kahan

wo KHushbuon ki rahguzar wo ratjagon ki palki

kisi ko kho ke pa liya kisi ko pa ke kho diya

na intiha KHushi ki hai na intiha malal ki

wo raushni ka KHwab tha magar wahi sarab tha

uruj mein chhupi hui thi ibtida zawal ki

(1527) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Kasak Judai Ki Kabhi Mahak Visal Ki In English By Famous Poet Iqbal Ashhar. Kabhi Kasak Judai Ki Kabhi Mahak Visal Ki is written by Iqbal Ashhar. Read famous Poem Kabhi Kasak Judai Ki Kabhi Mahak Visal Ki for youth and Student by Iqbal Ashhar. Free Download Kabhi Kasak Judai Ki Kabhi Mahak Visal Ki in PDF.