Raat Ka Pichhla Pahar Kaisi Nishani De Gaya

raat ka pichhla pahar kaisi nishani de gaya

munjamid aaankhon ke dariya ko rawani de gaya

main sadaqat ka alam-bardar samjha tha jise

wo bhi jab ruKHsat hua to ek kahani de gaya

pahle apna tajziya karne pe uksaya mujhe

phir natija-KHeziyon ko be-zabani de gaya

kyun ujalon ki nawazish ho rahi hai har taraf

kya koi bujhte charaghon ko jawani de gaya

kyun na is aawara baadal ko duaen dijiye

jo samundar ko KHalish sahra ko pani de gaya

(2148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ka Pichhla Pahar Kaisi Nishani De Gaya In English By Famous Poet Iqbal Ashhar. Raat Ka Pichhla Pahar Kaisi Nishani De Gaya is written by Iqbal Ashhar. Read famous Poem Raat Ka Pichhla Pahar Kaisi Nishani De Gaya for youth and Student by Iqbal Ashhar. Free Download Raat Ka Pichhla Pahar Kaisi Nishani De Gaya in PDF.