Rasta Bhul Gaya Ek Sitara Apna

rasta bhul gaya ek sitara apna

chand ne band kiya jab se daricha apna

roz aaina dikhati hai zamane bhar ko

zindagi dekh le tu bhi kabhi chehra apna

aks tera kabhi ojhal ho agar manzar se

aaina DhunDhta rah jae ujala apna

sochta hun teri taswir dikha dun us ko

raushni ne kabhi saya nahin dekha apna

ye sulagta hua sahra hai nishani us ki

rasta bhul gaya tha koi dariya apna

(1412) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rasta Bhul Gaya Ek Sitara Apna In English By Famous Poet Iqbal Ashhar. Rasta Bhul Gaya Ek Sitara Apna is written by Iqbal Ashhar. Read famous Poem Rasta Bhul Gaya Ek Sitara Apna for youth and Student by Iqbal Ashhar. Free Download Rasta Bhul Gaya Ek Sitara Apna in PDF.