Pyas Ke Bedar Hone Ka Koi Rasta Na Tha

pyas ke bedar hone ka koi rasta na tha

is taraf baadal nahin the us taraf dariya na tha

raat ki tarikiyan pahchan leti thin use

ruh ki aawaz tha wo jism ka saya na tha

teri yaaden to charaghon ki qataren ban gain

pahle bhi ghar mein ujala tha magar aisa na tha

chand qatron ke liye dariya ko kyun taklif di

meri jaanib dekh lete main koi sahra na tha

raat aai to charaghon ki baDi tazim thi

aur jab guzri to koi puchhne wala na tha

(1254) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pyas Ke Bedar Hone Ka Koi Rasta Na Tha In English By Famous Poet Iqbal Ashhar. Pyas Ke Bedar Hone Ka Koi Rasta Na Tha is written by Iqbal Ashhar. Read famous Poem Pyas Ke Bedar Hone Ka Koi Rasta Na Tha for youth and Student by Iqbal Ashhar. Free Download Pyas Ke Bedar Hone Ka Koi Rasta Na Tha in PDF.